tere dil mein bhi hain kuduraten tere lab pe bhi hain shikayaten mere doston ki nawazishen mere dushmanon ki inayaten ye hai turfa surat-e-dosti ki nigah-e-dil hama barf hain na wo baada hai na wo zarf hain na wo harf hain na hikayaten yahi rabt-o-zabt-e-gham-o-alam teri rae mein kabhi khub the wo yahi to mere uyub the jinhen di gai thin riayaten tere aastan se kashan kashan liye ja rahi hain kahan kahan mere nasehon ki hidayaten tere waizon ki riwayaten tera nam lete hi ai khuda main sanam-kade se nikal chuka rahen kash ta-dar-e-mustafa meri rahnuma teri aayaten