shaikh o pandit dharm aur islam ki baaten karen kuchh khuda ke qahr kuchh inam ki baaten karen yas-o-hirman-o-gham-o-alam ki baaten karen aa dil-e-iza-talab kuchh kaam ki baaten karen ye sunaen pak naghme awwalin ilham ke wo khuda ke aakhiri paigham ki baaten karen hum khade sunte rahen aur dil mein ye kahte rahen ab ye rukhsat hon to hum kuchh kaam ki baaten karen dost se kah den dil-e-be-muddaa ki dastan aaj saqi se shikast-e-jam ki baaten karen umr bhar ka ahd-e-ulfat ek khayal-e-kham tha aao lekin is khayal-e-kham ki baaten karen zindagi be-shak tera inam hai ya-rab magar sun sake to kuchh tere inam ki baaten karen