sair-e-duniya se gharaz thi mahw-e-duniya kar diya

sair-e-duniya se gharaz thi mahw-e-duniya kar diya
main ne kya chaha mere allah ne kya kar diya

rokne wala na tha koi khuda ko is liye
jo kuchh aaya us ke ji mein be-muhaba kar diya

han isi kam-bakht dil ne kar diya ifsha-e-raaz
han isi kam-bakht dil ne mujh ko ruswa kar diya

ishq ja in teri baaton mein nahin aane ke hum
achchhe achchhon ko jahan mein tu ne ruswa kar diya

zindagi baithi thi apne husn par bhuli hui
maut ne aate hi sara rang phika kar diya

husn ne pahle to sab mujh par haqiqat khol di
aur phir khamosh rahne ka ishaara kar diya

husn ko pahna chuke jab khud-numai ka libas
ishq ne sar pit kar puchha ki ye kya kar diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close