shairi baat nahin garm-e-suKHan hone ki

shairi baat nahin garm-e-sukhan hone ki
shart hi aur hai shaista-e-fan hone ki

main ki har-dam mujhe baalidgi-e-ruh ki fikr
ruh ko fikr hai warasta-e-tan hone ki

ram-ba-ram silsila-e-mauj-e-ghazalan-e-khayal
dasht-e-ghurbat ko bashaarat ho watan hone ki

partaw-e-rang se gulgun hua mamura-e-chashm
dhum hai ku-e-tamasha ke chaman hone ki

haq-parasti ko yahan kaun hai aamada-e-dar
kis ko taufiq hai be-gor-o-kafan hone ki

ya bachega na sahar tak koi darmanda-e-shab
ya sahar hi nahin khakam-ba-dahan hone ki

dard ki sal-girah khair se guzre 'gauhar'
aa gai raat wahi chand-gahan hone ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close