shairo hadd-e-qadamat se nikal kar dekho

shairo hadd-e-qadamat se nikal kar dekho
dastanon ke ab unwan badal kar dekho

kyun ho taqlid-e-kalim aaj bhi ai dida-waro
didani ho koi jalwa to sambhal kar dekho

sham-o-parwana ka andaz naya hai ki nahin
zikr tha jis ka ab us bazm mein chal kar dekho

aur bhi rukh nazar aaenge tajalli ke abhi
rukh nigahon ke zara aur badal kar dekho

agle waqton ke fasane na sunao yaro
nae mahaul ke sanche mein bhi dhal kar dekho

kal ke andaz bhi dilkash the ye taslim magar
aaj bhi shahr-e-nigaran mein nikal kar dekho

apne ahbab ki jaanib na uthao nazren
dekhna hai agar 'akhtar' to sambhal kar dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close