sharab aae to kaif-o-asar ki baat karo

sharab aae to kaif-o-asar ki baat karo
piyo to bazm mein fikr-o-nazar ki baat karo

fasana-e-kham-e-gesu mein kaif kuchh bhi nahin
nizam-e-alam-e-zer-o-zabar ki baat karo

chaman mein dam bichhata hai waqt ka sayyaad
gulon se hausla-e-baal-o-par ki baat karo

qaba-e-zohd ki pakizgi to dekh chuke
sharab-khane mein daman-e-tar ki baat karo

kahaniyan shab-e-hijran ki ho chuki hain tamam
sahar tulua hui hai sahar ki baat karo

chaman chaman mein udhar ho rahi hai had-bandi
khuli fazaen jidhar hain udhar ki baat karo

gulon ka zikr bahaaron mein kar chuke 'akhtar'
ab aao hosh mein barq-o-sharar ki baat karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close