shairon ko ab qasidon ka sila deta hai kaun bas duaen dete hain sab rupya deta hai kaun ye chhalawa hai koi ya bhut teri yaad ka raat ke pichhle pahar mujh ko sada deta hai kaun man li hai main ne mannat ek wali ek pir se dekhna hai mujh ko beta chand sa deta hai kaun chaplusi phatke-bazi se mili manzil mujhe itni aasani se warna rasta deta hai kaun main to pita hi nahin hun hosh mein rah kar sharab main hun hairan khwab-e-ghaflat mein pila deta hai kaun bechte hain shaikh sahib aayaten quran ki qabr par ujrat baghair ab fatiha deta hai kaun arz ki hai khwahish-e-ahbab par main ne ghazal dekhiye 'wahid' mujhe ab nashta deta hai kaun