udhar tum par jo aaya meri jaan-e-jaan shabab aadha tadap uttha idhar mera dil-e-khana-kharab aadha abhi main us ke jalwon se hua tha faizyab aadha ki zalim ne utha kar phir giraya hai naqab aadha dil-e-wahshi mera do husn ke paikar mein uljha hai mukammal ek jawan hai dusri par hai shabab aadha har ek nanga nazar aaega ek din dekhna tum bhi abhi duniya-e-fashion mein hai aaya inqalab aadha nawazish us ne mujh ko ghar bula kar is tarah se ki kabhi roti mili aadhi kabhi khaya kabab aadha visal-e-hijr mein us ke ye lazzat main ne pai hai ki jaise koi phal ho aadha achchha aur kharab aadha hua aakhir jahan se gol aaj ustad-e-'wahid' bhi chalo achchha hua sar se tala yaro azab aadha