shajar samajh ke mera ehtiram karte hain

shajar samajh ke mera ehtiram karte hain
parinde raat ko mujh mein qayam karte hain

suno tum aakhir-e-shab guftugu darakhton ki
ye kam-kalam bhi kya kya kalam karte hain

kahan ki zindagi hum ko to sharm mar gai
ki teri chiz hai aur tere nam karte hain

hamein to is liye ja-e-namaz chahiye hai
ki hum wajud se bahar qayam karte hain

agar kabhi mujhe maujudgan se fursat ho
to raftagan meri ninden haram karte hain

lahu ke ghunt na pita to aur kya karta
wo kah rahe the tera intizam karte hain

hamein samaat-e-be-lafz ki ijazat hai
hamare sath parinde kalam karte hain

abhi to ghar mein na baithen kaho buzurgon se
abhi to shahr ke bachche salam karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close