phir wahi tu sath mere phir wahi basti purani ek ek rasta hai teri raunaq-e-pa ki kahani ai gul-e-awargi teri mahak taron se khele ai nadi bahta rahe daim tera bedar pani sabz nili dhund mein dube pahadon se utarti kya ajab manzar-ba-manzar raushni hai dastani ek ghane sarshaar hasil ki faza hai aur donon ab nahin hai darmiyan koi bhi manzil imtihani main ki tha munkir tera aur ab ki main qail khada hun ai visal-e-lamha-lamha ai ata-e-asmani