shaKH-e-gulshan pe tha jo Thikana gaya

shakh-e-gulshan pe tha jo thikana gaya
us parinde ka to aab-o-dana gaya

aandhiyon ki hai zad par gharaunde yahan
yani hamdardiyon ka zamana gaya

zard mausam ki aamad ne badla saman
sabza-e-gulsitan ka zamana gaya

meri hasrat ne odhi jo lafzi qaba
mere khamosh lab ka tarana gaya

sham-e-bazm-e-tarab raat tanha rahi
koi parwana aakhir kyun aa na gaya

yun hui shakh se hijrat-e-tairan
marsiya rah gaya chahchahana gaya

yun na kamzor rishte ki buniyaad thi
aate jate yun hi aana jaana gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close