shahr-e-alam ka shahryar aa gaya sar-barahna mera tajdar aa gaya subh-e-khandan liye ru-e-taban liye sham-e-ghurbat tera gham-gusar aa gaya sabr arzan hua jabr larzan hua sahab-e-shan-e-sad-ikhtiyar aa gaya nala-karo utho sogwaro utho be-qararo koi be-qarar aa gaya kaenat apni hai ab hayat apni hai ghamkasho gham-zado gham-gusar aa gaya taza ab gham na kar kham ko ab kham na kar saqiya hasil-e-intizar aa gaya jam chhalka diya shoala bhadka diya yaad aakhir zulekha ka pyar aa gaya raat khulne lagi chandni dhul gai mah-wash mah-shikan mah-shiar aa gaya zakhm-e-pinhan mahak tair-e-jaan lahak gul-badan gul-jabin gul-e-ezar aa gaya baat kyun rok li aankh kyun nam hui mujh ko dekho mujhe eatibar aa gaya aap sochen 'nazar' kis liye mast hai aap ke sath abr-e-bahaar aa gaya