shakh-e-jazbaat pe naghmat ka manzar khamosh gham ki aaghosh mein arman ka kabutar khamosh nind roti rahi sunsan khandar mein chhup kar qasr-e-shahi ka hasin makhmalin bistar khamosh surkh aandhi chali is bar halakat ki ajab gharq amwaj huin aur samundar khamosh sikka baitha tha us insan ki wafa ka aisa shirk behosh tha aur zulm ka lashkar khamosh filen dard ki bikhri thin bhare chehre mein aur aankhon mein meri ashk ka daftar khamosh bahte jate hain yahan chaaron taraf laf-o-gazaf fan ke maidan mein pakiza sukhnawar khamosh 'qudsi' bazicha-e-atfal thin aahen meri aur tha dahr tamashai muqaddar khamosh