wo ek shakhs mera ham-mizaj pahle tha badal gaya wahi kal mein jo aaj pahle tha bashar ki pyas bashar ke lahu se bujhti hai jahan mein kya yahi khuni riwaj pahle tha tamam waqt guzarta hai laghwiyat mein ab hamare sar pe bahut kaam kaj pahle tha ye aisa daur ki insaniyat bilakti hai sukun se par bada sada samaj pahle tha na dekhi dahr ne us ki tarah ziya ab tak ajib bujhta hua ek siraj pahle tha ghubar-o-khak mein wo sab badal gae 'qudsi' jawaharaat ka ghar bhar anaj pahle tha