shaKH-e-lab par gul-e-dua rakhna

shakh-e-lab par gul-e-dua rakhna
aur khushbu se rabta rakhna

ye ruten kab thaharne wali hain
in se ummid koi kya rakhna

aane wala hai wo sitara-badan
dar-e-ehsas ko khula rakhna

waqt kuchh kuchh muwafaqat mein hai
kaam kal par na tum utha rakhna

raston mein bahut andhera hai
sath ehsas ka diya rakhna

khud samajh jaoge ki tum kya ho
samne apne aaina rakhna

is se ummid-e-saebani hai
is shajar ko hara-bhara rakhna

rahnumai ke waste hamrah
meri zanjir naqsh-e-pa rakhna

chand hi gam hai jahan-e-falak
'nur' bas thoda hausla rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close