sawere mein bhi haalat sham ki hai

sawere mein bhi haalat sham ki hai
ye kaisi subh kaisi raushni hai

hawa ke qafile soe hue hain
ghane jangal mein phaili khamushi hai

liye hathon mein tanhai ka parcham
udasi siskiyon se lad rahi hai

simatna ab nazar aata hai mushkil
bahut bikhri hamari zindagi hai

nazar ke samne manzil hai lekin
masafat phir bhi badhti ja rahi hai

bahut hairat se takte hain sitare
nadi jab sahilon se khelti hai

baras kar ja chuka hai abr-para
zamin se kaisi khushbu aa rahi hai

talash-e-barg-e-gul hai us ko shayad
jo titli pankh khole ud rahi hai

zamin odhe hue hai sar pe aanchal
ye jo qaus-e-quzah bikhri hui hai

guzarta waqt jo chahe wo likkhe
kitab-e-zindagi sada padi hai

yaqinan aa gaya hai waqt-e-akhir
diye ki lau jo itni badh gai hai

kisi tufan ka hai pesh-khema
samundar mein jo itni khamushi hai

agar ghar mein nahin hai 'nur' koi
to ye aawaz kaisi aa rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close