shakh-e-taza pe ye jafa na karo khar se gul kabhi juda na karo tum kisi ka agar bhala na karo kam se kam ye karo bura na karo ghairat-e-ishq ka taqaza hai ghut ke mar jao iltija na karo dosti ka koi sawal nahin dushmani mein bhi baddua na karo jab bhi niklo talash-e-manzil mein log kuchh bhi kahen suna na karo tan se sar kat lo ye behtar hai dosto dil se dil juda na karo wusat-e-fikr-o-fan na ho jis mein 'zakir' aisi ghazal kaha na karo