shuur-e-ilm-o-hunar dars-e-agahi ke liye

shuur-e-ilm-o-hunar dars-e-agahi ke liye
mata-e-hosh badi shai hai aadmi ke liye

koi bhi aarzu dil ki na ho saki puri
khuda rahim hai shayad kisi kisi ke liye

yahi taqaza-e-fitrat yahi hai raaz-e-hayat
khulus chahiye insan mein har kisi ke liye

lahu se apne farozan rakho charaghon ko
ye ehtimam zaruri hai tirgi ke liye

ulat bhi dijiye rukh se naqab-e-nim-shabi
andhere kab se hain betab raushni ke liye

pata nahin jinhen kya shai ye lazzat-e-gham hai
malul hi unhen paya shaguftagi ke liye

mera shuur mujhe rokta hai ai 'zakir'
koi badhata hai jab hath dosti ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close