shakh se phul se kya us ka pata puchhti hai ya phir is dasht mein kuchh aur hawa puchhti hai main to zakhmon ko khuda se bhi chhupana chahun kis liye haal mera khalq-e-khuda puchhti hai chashm-e-inkar mein iqrar bhi ho sakta tha chhedne ko mujhe phir meri ana puchhti hai tez aandhi ko na fursat hai na ye shauq-e-fuzul haal ghunchon ka mohabbat se saba puchhti hai kisi sahra se guzarta hai koi naqa-sawar aur mizaj us ka hawa sab se juda puchhti hai