mil baithne ye de hai falak ek dam kahan kya jaane tum kahan ho koi dam ko hum kahan kuche se tere uth ke bhala jaen hum kahan juz naqsh-e-pa hai rahbar-e-mulk-e-adam kahan daman-kashan phire hai meri khak se hanuz rakhta hai aah wo sar-e-marqad qadam kahan us ke saf-e-mizha se ladawe nishan-e-ah ai fauj-e-ashk jae hai le kar alam kahan mera hi lakht-e-dil hai ki ham-rah-e-ashk hai warna rahe hai aab se aatish baham kahan sab se juda tere khat-e-raihan ki shan hai us khat ko likh sake hai zamurrad raqam kahan munh dekhun jo kare yad-e-qudrat se ham-sari aisi safai hath ki aur ye qalam kahan kyun-kar na saqf-e-charkh-e-kuhan tham rahe 'nasir' mere sutun-e-ah chhut is mein hai tham kahan