shakh se tut kar uda tanha zard patta tha rah gaya tanha phir rahi hai udas galiyon mein baal khole hue hawa tanha shahar ki raunaqon mein din guzra shab ko ghar kaun jaega tanha har ghadi jang jine marne ki har koi zor-azma tanha waqt ki rut hai saf aur be-naqsh chand sahraon mein uga tanha waqt aur fasle nahin milte qurbaton mein bhi dil raha tanha