tawil raat ho aisi kinare bhi na rahen hamare sath mein chalte sitare bhi na rahen talash meri kisi rahguzar talak jae na jit pae agar us ko haare bhi na rahen hawa utar badan mera aur chaman se nikal le chal udhar ki jidhar ye nazare bhi na rahen mujhe ujad chuki aandhiyan palat aain hai un ko fikr bhala hum hamare bhi na rahen jise hai jaana chala jae umr bhar ke liye ye roz roz ke 'tejas' khasare bhi na rahen