shakh shakh par mausam-e-gul ne gajre se latkae the main ne jis-dam hath badhaya sare phul parae the kitne dard chamak uthte hain furqat ke sannate mein raat raat-bhar jag ke hum ne khud pe zakhm lagae the tere ghamon ka zikr hi kya ab jaane de ye baat na chhed hum diwane mulk-e-junun mein bakht-e-sikandar lae the dil ki viran basti mujh se akasr puchha karti hai baste hain kis des mein ab wo log yahan jo aae the pichhli raat ko tare ab bhi jhilmil karte hain kis ko khabar hai ek shab hum ne kitne ashk bahae the aaj jahan ki tariki se duniya bach kar chalti hai hum ne us viran mahal mein lakhon dip jalae the mujh ko un se pyar nahin hai mujh ko un ke nam se kya aankhen yun hi bhar aai thin hont yunhi tharrae the