na haara hai ishq aur na duniya thaki hai diya jal raha hai hawa chal rahi hai sukun hi sukun hai khushi hi khushi hai tera gham salamat mujhe kya kami hai khatak gudgudi ka maza de rahi hai jise ishq kahte hain shayad yahi hai wo maujud hain aur un ki kami hai mohabbat bhi tanhai-e-daimi hai charaghon ke badle makan jal rahe hain naya hai zamana nai raushni hai are o jafaon pe chup rahne walo khamoshi jafaon ki taid bhi hai mere rahbar mujh ko gumrah kar de suna hai ki manzil qarib aa gai hai 'khumar'-e-bala-nosh tu aur tauba tujhe zahidon ki nazar lag gai hai