sham aai dard ka bistar khula ab rahega zakhm-e-dil shab-bhar khula qatl ka ilzam mujh par kis liye khun us ki aastinon par khula paon ke niche zamin dozakh hui aur sar par dhup ka khanjar khula amn ka daftar bhi us ke ghar mein hai chhod rakkha hai usi ne shar khula nafraton ke is kunen ko chhodiye aaiye bahar ki hai bahar khula tul gae aadarsh sab daulat ke bhaw is sadi ka kya ajab manzar khula munh se us ke phul jhadte hain 'niyaz' hath mein rakhta hai wo nishtar khula