sham aai hai liye hath mein yaadon ke charagh wo tere sath guzare hue lamhon ke charagh mere is ghar mein andhera kabhi hota hi nahin hain mere sine mein jalte hue zakhmon ke charagh lakh tufan hon kutiya meri raushan hi rahi ek barsat se bujhne lage mahlon ke charagh zindagi talkh haqiqat ki hai andhi si gali apni aankhon mein jalate raho sapnon ke charagh ek muddat se dhadhakta raha mera ye zehn tab kahin ja ke farozan hue lafzon ke charagh khud ka hi nur kiya karta hai raushan dil ko raushni tujh ko bhala kaise den ghairon ke charagh sari duniya ko khuda ek hi suraj de de kash bujh jaen zamane se ye firqon ke charagh ab to jamhur ki taqat ka hi suraj hai 'sahab' ab zamane mein kahan jalte hain shahon ke charagh