hawa se baada nichoden kali ko jam karen sukut-e-rang-e-chaman se zara kalam karen hamein to koi bhi pahchanta nahin hai yahan nigah kis se milaen kise salam karen zamana is pe tula hai khirad ki baat rahe hamein ye zid hai ki uncha junun ka nam karen faza hai gosh-bar-awaz chup hain ahl-e-nawa ab is adhuri kahani ko hum tamam karen tumhaare jam ko pahle nazar se chhalka den phir apne hosh mein aa kar tawaf-e-jam karen kisi ghazal mein bhi ab nahin ram-e-wahshat hum apne sehr-e-tamanna se kis ko ram karen khulus-e-dil ka sila soz aarzu ka guhar isi guhar 'faridi' charagh-e-sham karen