sham ajib sham thi jis mein koi ufaq na tha phul bhi kaise phul the jin ko sukhan ka haq na tha yar ajib yar tha jis ke hazar nam the shahr ajib shahr tha jis mein koi tabaq na tha hath mein sab ke jild thi jis ke ajib rang the jis pe ajib nam the aur koi waraq na tha jaise adam se aae hon log ajib tarah ke jin ka lahu safed tha jin ka kaleja shaq na tha jin ke ajib taur the jin mein koi kiran na thi jin ke ajib dars the jin mein koi sabaq na tha log kate hue idhar log pade hue udhar jin ko koi alam na tha jin ko koi qalaq na tha jin ka jigar siya hua jin ka lahu bujha hua jin ka rafu kiya hua chehra bahut adaq na tha kaisa tilismi shahr tha jis ke tufail raat bhi mere lahu mein gard thi aaina-e-shafaq na tha