wafa ki fasl phir bone chali hun

wafa ki fasl phir bone chali hun
main kya paungi bas khone chali hun

junun ki had se bhi aage qadam hai
na jaane aur kya hone chali hun

ye mumkin to nazar aata nahin hai
ana ko apni main dhone chali hun

samundar aa gaya mere muqabil
jab us ne dekha main rone chali hun

yahi neki mujhe zinda rakhegi
ki bojh auron ka main dhone chali hun

rahi hun muztarib khud ko bhi pa kar
phir apne aap ko khone chali hun

utar aai hai yaad aankhon mein teri
main tere waste sone chali hun

bahut hai barish-e-alam 'rumi'
hifazat ko kisi kone chali hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close