sham dhale jab basti wale laut ke ghar ko aate hain aahat aahat dastak dastak kya kya hum ghabraate hain ahl-e-junun to dil ki sada par jaan se apni ja bhi chuke ahl-e-khirad ab jaane hum ko kya samjhane aate hain jaise rail ki har khidki ki apni apni duniya hai kuchh manzar to ban nahin pate kuchh pichhe rah jate hain jis ki har ek int mein jazb hain un ke apne hi aansu wae ki ab wo ahl-e-dua hi is mehrab ko dhate hain aaj ki shab to kat hi chali hai khwabon aur sarabon mein aane wale din ab dekhen kya manzar dikhlate hain sari umr hi dil se apna aisa kuchh bartao raha jaise khel mein haarne wale bachche ko bahlate hain na-mumkin ko mumkin 'amjad' ahl-e-wafa hi kar sakte hain pani aur hawa par dekho kya kya naqsh banate hain