us ko mil kar dekh shayad wo tera aaina ho ghaebana hi teri us ki shanasai na ho mujh pe zahir hai tere ji mein hain kya kya khwahishen baat aisi kar ki jis mein teri ruswai na ho ehtiyatan dekhta chal apne sae ki taraf is tarah shayad tujhe ehsas-e-tanhai na ho aasman ek dasht ki surat sitare ret hain to lab-e-dariya sarabon ka tamannai na ho dhundh ab kuchh bhagte logon mein surat aashna in bagulon mein gae lamhon ki purwai na ho tha safar dar-pesh sahra ka girah mein rakh diye us ne kuchh kante ki uzr-e-abla-pai na ho khinch lega abr se barish agar sabza hua tu kisi ki chah mein be-kar saudai na ho hum use chhukar yahi samjhe ki wo patthar nahin is se badh kar aur kya kahiye jo binai na ho khul gai hai aankh to chadar bana kar dekh le tere kamre hi mein in khwabon ki ranai na ho zakhm tere dil ki zinat hain unhen parde mein rakh koi na-mahram tere ghar ka tamashai na ho aaj 'shahid' us ke darwaze pe panw ruk gae radio bajta tha main chaunka ki shahnai na ho