sham dhale us bazm-e-tarab mein mera jaana khub hua mujh ko achanak samne pa kar wo kitna mahjub hua dasht-e-sitam mein kitni saliben istada thin chaar-taraf shah ke hath pe baiat kar li koi na yan maslub hua ruswai ke sae hamesha pichha karte rahte hain mujh se gurezan ho kar bhi wo mujh se hi mansub hua kucha-e-yar mein jaana ho to tark-e-ana hai pahla qadam ishq kisi se kya karta wo jo apna mahbub hua ujdi jab se mahfil-e-yaran taur badal gae jine ke zakhm mera pairahan thahra dard mera uslub hua ahd-e-nau ki ijadon se lazzat-e-nama-bari bhi gai shishe par kuchh harf likhe hain ye kaisa maktub hua apne aib pe chashm-e-zamana mushkil hi se jati hai be-chehra the dekhne wale aaina matub hua rah gae kuchh yaadon ke sae kuchh lafzon ki raushaniyan aakhir meri umr ka suraj dhalte dhalte ghurub hua