sham-e-alam bhi guzri pahlu badal badal kar rota raha hai ye dil pahron machal machal kar manzil ki justuju mein pahunche kahan kahan hum dekha kiye tamasha raste badal badal kar shahr-e-wafa mein hum ne sab kuchh luta diya hai ye baat un se kahna logo sambhal sambhal kar kya zid karenge tujh se ai gardish-e-zamana hansna bhi aa gaya hai gham se bahal bahal kar 'gulnar' zabt-e-gham ki ye intiha bhi dekhi daman bhigo rahe hain aansu nikal nikal kar