ek ima ek ishaara mar raha hai ufuq par dil ke tara mar raha hai jo mere baad sab paida hua tha wo mujh se pahle sara mar raha hai jise tha phul kar phatakna hi lazim sikud kar wo ghubara mar raha hai kai maujon ne dam toda tha jis par suna hai wo kinara mar raha hai khirad tahlil sahra kar rahi hai junun ka istiara mar raha hai nazar ki maut ek taza alamiya aur itne mein nazara mar raha hai zaman-paima yahi miqyas-e-dil tha magar ab us ka para mar raha hai mujhe zinda thi jis ki na-gawari wo ab mujh ko gawara mar raha hai kahan mangi hui sansen kahan dil jilaya tha, dobara mar raha hai