sham-e-gham bimar ke dil par wo ban aai ki bas har taraf tarikiyan aur aisi tanhai ki bas dil ki barbaadi ka afsana abhi chheda hi tha anjuman mein har taraf se ek sada aai ki bas un ki aankhon mein jo ashk aae to yun aae ki uf un ke honton par hansi aai to yun aai ki bas umr-bhar ke waste chup ho gaya bimar-e-gham aap ne ki bhi to ki aisi masihai ki bas kya kahen 'rahi' ki apnon se hamein kya kya mila wo nawazish wo karam wo izzat-afzai ki bas