sham-e-hijran jo kaTi subh-e-qayamat aai

sham-e-hijran jo kati subh-e-qayamat aai
ek bala sar se tali ek musibat aai

lab pe shikwa tera aaya na shikayat aai
jab kabhi dil mein kuchh aaya ki mohabbat aai

mujh pe rahat-talabi se hai musibat aai
un se fariyaad jo ki aur qayamat aai

tere aage teri bedad ki shohrat aai
ghair ko bhi to teri chah se nafrat aai

al-aman kahte hain sab rakhte hain kanon par hath
meri fariyaad se mahshar mein qayamat aai

wasl ki shab dil-e-khud-kaam ki nakaami ko
aap mein sharm-o-haya aur shararat aai

main na kahta tha bura mujh ko na dekhenge wo
chashm-e-fattan mein phir aakhir ko murawwat aai

kaun hai munis-o-gham-khwar shab-e-gham mera
pas aaya kabhi koi to kudurat aai

jaan kar tujh ko sitamgar bhi bhula dil deta
mere aage ye meri shumi-e-qismat aai

aaj kahte hain ki dekhenge tera shor-o-fughan
apne hathon se mere sar pe qayamat aai

puchhte kya ho tere hosh kahan aql kahan
jab taghaful nahin aaya mujhe ghaflat aai

tere kushte teri bedad ke aashiq to nahin
eid aai unhen jab sar pe qayamat aai

ek siwa maut ke aafat nahin baqi koi
ab musibat mujhe kahti hai ki rahat aai

tum ho dil mein to bhala ghair koi kyon aae
ghair ki yaad jo aai mujhe ghairat aai

ghair ko dekhenge aata dar-e-jaanan pe jo 'lutf'
us gali se bhi to chal denge jo wahshat aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close