mere dil ki lagi wo kya jaane use main jaanun ya khuda jaane aise bimar ka ilaj hi kya dard ko apne jo dawa jaane baat wo kya ki jis ka charcha ho raaz wo kya jo dusra jaane lazzaten us ki hum se puchhe koi ishq ka koi kya maza jaane us se kya ho nibah ki ummid harf-e-matlab ko jo gila jaane ab wo agli si baat us ki nahin use kya kar diya khuda jaane main ne dil 'lutf' us ko de hi diya mujhe kya ho gaya khuda jaane