sham-e-wada gah rona gah hansna dekhte

sham-e-wada gah rona gah hansna dekhte
aap to aae nahin warna tamasha dekhte

hausla dil ka utha kar tum ye parda dekhte
jazb kar lete tumhein apne mein itna dekhte

apni surat apna partaw apna jalwa dekhte
aap dil ko tod dete to tamasha dekhte

did ki hasrat thi musa zauq-e-nazzara na tha
warna apne aaine mein un ka jalwa dekhte

khud badhe the wo hamari samt paimana-ba-kaf
dekhte un ka karam ya ru-e-tauba dekhte

chaar din mein apni surat hi na pahchani gai
hum kahan se zindagi late ki duniya dekhte

sar jhuka kar le gaya gardan pe khud khun-e-wafa
kis tarah chehre se un ke rang udta dekhte

rok li chullu mein tauba tod kar be-ikhtiyar
hae kin aankhon se hum saghar chhalakta dekhte

kash jo anjam-e-musa par hain nazan ai 'habib'
ek din mera bhi wo zauq-e-nazara dekhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close