sham kahti hai koi baat juda si likkhun dil ka israr hai phir us ki udasi likkhun aaj zakhmon ko mohabbat ki ata ke badle tohfa o tamgha-e-ahbab-shanasi likkhun sath ho tum bhi mere sath hai tanhai bhi kaun se dil se kise wajh-e-udasi likkhun jis ne dil manga nahin chhin liya hai mujh se aap mein aaun to wo aankh haya si likkhun mujh pe ho jae teri chashm-e-karam gar pal bhar phir main ye donon jahan baat zara si likkhun daudti hai jo mere khun mein teri hasrat dekh aaina use khun ki pyasi likkhun tujh se kyun dur hai majbur hai 'shahzad' tera padh sake tu to main sachchai zara si likkhun