us baat ka koi ranj nahin hum us ki tawajjoh pa na sake afsos hamein bas itna hai hum dil ka haal chhupa na sake wo itna achchha hai us ko har koi apna kahta hai par hum kyun apna samjhe the ye baat use samjha na sake hum aaj se pahle zakhmon par hansti aankhon se rote the is bar magar dukh aisa hai hansna to juda muska na sake do lafz bayan kar dete hain ek umr ka apni afsana wo chhod ke gulshan aa na saka hum chhod ke sahra ja na sake dil ek ziddi bachche ki tarah 'shahzad' se bigda baitha hai juz ek naraaz se patthar ke koi aur use bahla na sake