sham ke ped ki surmai shakh par pattiyon mein chhupa koi jugnu bhi hai sahilon par padi sipiyon mein kahin jhilmilata hua ek aansu bhi hai aandhiyan rakh ke dher leti gain chamkin chingariyan konpalon ki tarah in dinon zindagi phir hamare liye subh-e-ariz bhi hai sham-e-gesu bhi hai is pahadi ilaqe mein ek ganw ke mod par aati jati bason ke liye do darakhton ki mushfiq ghani chhanw mein garm chae ki manus khushbu bhi hai in nahate parindon ke hamrah ab main bhi aakash sar par utha launga naddiyon mein naha kar thakan dhul gai kuchh darakhton ki banhon ka jadu bhi hai mere dushman meri justuju mein abhi is kamin-gah ko aag dikhlaenge ab ye behtar hai main khud hi aage badhun jhadiyon mein yahan ek aahu bhi hai