sham ke waqt charaghon si jalai hui main ghup andheron ki munderon pe sajai hui main dekhne walon ki nazron ko lagun sada waraq teri tahrir mein hun aise chhupai hui main khak kar ke mujhe sahra mein udane wale dekh raqsan hun sar-e-dasht udai hui main kya andheron ki hifazat ke liye rakkhi hun apni dahliz pe khud aap jalai hui main log afsana samajh kar mujhe sunte hi rahe dar-haqiqat hun haqiqat se banai hui main meri aankhon mein samaya hua koi chehra aur us chehre ki aankhon mein samai hui main kitni hairan hai duniya ki muqaddar ki nahin apni tadbir ke hathon hun banai hui main mere andaz pe ta-der 'alina' wo hansa zikr mein us ke thi yun khud ko bhulai hui main