sham ki rah dekhta hun main

sham ki rah dekhta hun main
ek jalta hua diya hun main

tera kahna ki bewafa hun main
apni nazron se gir gaya hun main

main tumhein ghar pe mil nahin sakta
khud se milne kahin chala hun main

mat samajh mujh ko mohsin-e-girdab
ek kashti ka na-khuda hun main

teri manzil hai rasta mera
yaad rakh tera rahnuma hun main

sari makhluq mujh pe hairan hai
kuchh farishton ka ratjaga hun main

ek budha shajar ye kahta hai
kuchh parindon ka aasra hun main

meri goli ghalat lagi tum ko
dushmanon se nahin mila hun main

saqiya qaede sikha mujh ko
mai-kade mein abhi naya hun main

jitne tere hain chahne wale
yaad rakh sab se hi siwa hun mein

aable panw mein to hain 'farhat'
phir bhi manzil tak aa gaya hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close