hum ko rah-e-ashiqi mein zindagi ka gham na tha marhala-dar-marhala gham-e-ashiqi hi kam na tha dhire dhire sikh li hum ne nigahon ki zaban un ka andaz-e-takallum bhi bahut mubham na tha shahar ka aalam ki jaise sab yahan patthar ke hon khun-e-insan bah raha tha aur kisi ko gham na tha kyon chura lete hain nazren aate jate log ab mai-kade ka saqiya pahle to ye aalam na tha aastanon par jabin-sai mera shewa nahin ma-siwa tere kisi dar par ye matha kham na tha moajiza tha aap ka hathon ko mere thamna phir to jaise zindagi mein koi pech-o-kham na tha