sham ko subh andhere ko ujala likkhen aalam-e-shauq mein kya jaaniye hum kya likkhen muddaa likkhen talab likkhen tamanna likkhen itna kuchh likh ke bhi hum khat ko adhura likkhen koi khushbu na koi rang na koi aawaz dil ko hum sang na samjhen to ise kya likkhen ek isi soch mein gum ho gae kitne mausam in se hum haal zabani hi kahen ya likkhen hum ko israr ki zulmat ko ziya kyun manen un ka ye hukm ki har shab ko sawera likkhen maslahat hum ko bhi marghub hai lekin kab tak khar ko phul kahen dasht ko dariya likkhen husn-e-masum ko mausum karen qatil se aur qatil ko zamane ka masiha likkhen dastan-e-dil-e-khun-gashta kahan tak 'sahir' ab gham-e-zat se hat kar gham-e-duniya likkhen