waqt aafaq ke jangal ka jawan chita hai meri duniya ke ghazalon ka lahu pita hai ishq ne mar ke swayamwar mein use jita hai dil siri-ram hai dilbar ki raza sita hai ab bhi ghanshyam hai is dasht ka buta buta barg ne aaj bhi insan ke liye gita hai jagmagati rahi ashkon se shab-e-tar-e-hayat dip-mala ki tarah daur-e-alam bita hai koi lahka jo sar-e-dar to yazdan ne kaha ibn-e-adam ne mah-o-sal ka ran jita hai tujhe sajdon ke ewaz mil na saki ruh-e-bashar hum ne sar de ke khudai ka bharam jita hai