sham saja ke kya karen yaad ka ehtimam bhi bhul gae hain ab to hum us ka bhala sa nam bhi rah mein rok kar use aap hain sharmsar hum yaad hi aa nahin raha us se tha koi kaam bhi taq-e-mizha pe zau-fishan misl-e-charagh-o-kahkashan us ki gali ki subh bhi us ki gali ki sham bhi waqt-e-namaz-e-ishq tha koi na pesh-o-pusht jab khud hi ko muqtadi kiya khud hi bane imam bhi bagh-e-watan ki shakh-e-sabz zard na ho kabhi agar sazish-e-hukmaran se ghafil na rahe awam bhi us ne kiwad khol kar yun hi gali mein ki nigah rahrawon ke darmiyan thair gai hai sham bhi mujh pe karam-nawaziyan dasht ki badh na jaen kyun wali-e-shahr-e-ishq hun us pe tera ghulam bhi