sham se pahle teri sham na hone dunga zindagi main tujhe nakaam na hone dunga udte udte hi bikhar jaen par-o-baal ai kash tair-e-jaan ko tah-e-dam na hone dunga bewafa logon mein rahna teri qismat hi sahi in mein shamil main tera nam na hone dunga kal bhi chaha tha tujhe aaj bhi chaha hai ki hai ye khayal aisa jise kham na hone dunga lagne dunga na hawa tujh ko khizan ki main 'zafar' phul jaisa tera anjam na hone dunga