sham se tanha khada hun yas ka paikar hun main ajnabi hun aur fasil-e-shahr se bahar hun main tu to aaya hai yahan par qahqahon ke waste dekhne wale bada ghamgin sa manzar hun main main bacha lunga tujhe duniya ke sard-o-garm se dhanp le mujh se badan apna teri chadar hun main ab to milte hain hawa se bhi dar-o-diwar-e-jism basiyo mujh se nikal jao shikasta-ghar hun main main tumhein udte hue dekhunga mere sathiyo main tumhaara sath kaise dun shikasta-par hun main mere hone ka pata le lo dar-o-diwar se kah raha hai ghar ka sannata abhi andar hun main kaun dega ab yahan se teri dastak ka jawab kis liye mujh ko sada deta hai khali ghar hun main