sham thi aur barg-o-gul shal the magar saba bhi thi ek ajib sukut tha ek ajab sada bhi thi ek malal ka sa haal mahw tha apne haal mein raqs-o-nawa the be-taraf mahfil-e-shab bapa bhi thi samea-e-sada-e-jaan be-sarokar tha ki tha ek guman ki dastan bar-lab nim-wa bhi thi kya mah-o-sal majra ek palak thi jo miyan baat ki ibtida bhi thi baat ki intiha bhi thi ek surud-e-raushani nima-e-shab ka khwab tha ek khamosh tirgi saneha-ashna bhi thi dil tera pesha-e-gila-e-kaam kharab kar gaya warna to ek ranj ki haalat-be-gila bhi thi dil ke muamle jo the un mein se ek ye bhi hai ek hawas thi dil mein jo dil se gurez-pa bhi thi baal-o-par-e-khayal ko ab nahin samt-o-su nasib pahle thi ek ajab faza aur jo pur-faza bhi thi khushk hai chashma-sar-e-jaan zard hai sabza-zar-e-dil ab to ye sochiye ki yan pahle kabhi hawa bhi thi